SBI EMV Chip ATM Card Kya hai Aur Kaise Apply Kare?
Reserve Bank of India (RBI) ne ATM Debit card ko lekar ek khaas announcement ki hai aur wo hai ki ab jitne bhi bina EMV Chip wale ATM card hain wo sabhi block honge aur SBI ke sabhi customers ko ab ab apna card EMV Chip ATM card se change karna hoga.
Agar aapke paas bhi Magnetic Strip ATM card hai jo ki yellow color ke hote hain aur unke front screen par EMV Chip nahin hoti, wo ATM card aapko new EMV Chip ATM card se badlna hoga.
Neeche aap Magnetic Strip Debit card Aur EMV Chip ATM card dekh sakte hain
Kya hai EMV Chip ATM Card?
EMV Chip ATM card ya Debit card ke front side ek khaas Chip hoti hai jo ki aapki sari information ko save rakhti hai. Purane magnetic ATM card me aapka data backside black ki strip me hota tha, jiski wajah se ATM fraud hote the.
RBI ne yah decision card ki safety ke liye liya hai. EMV ATM card me aapka data ek Chip me store kiya hota hai aur wo bhi encrypted hota hai jise koi machine read nahin kar pati. Is tarah ke ATM card old magnetic ATM card se better secure hote hain.
Agar aapke paas bhi old Magnetic Strip ATM card hai to aapko 31 December 2018 se pahle-pahle apna card change karna hoga aur naya card lena hoga.
New EMV Chip ATM Card कैसे प्राप्त करें?
Agar aap SBI ke customer hain to ye kaam ghar baithe apne Net Banking par kar sakte hain. Aapko Bank me jaane ki jarurat nahin hai. Aap apne Mobile ya PC par SBI ki net banking facility me login karke naya Card online apply kar sakte hain.SBI aapko tarah-tarah ke EMV ATM card offer karti hai jisme Global International Card (Mastercard/VISA), Paypass ATM card, Classic ATM card aur Rupay ATM card.
New ATM card apply karne ke baad aap us card ko 10 din me receive kar payenge.
ATM card receive karne ke baad aapko uske liye new PIN generate karna hoga aur activate karna hoga, ye kaam bhi aap online kar sakte hain net banking par.
SBI EMV Chip ATM card Charge
- Rupay ATM card: Rs.125 annual charge
- Classic ATM card: 125 annual charge
- Global International ATM card: 175+GST Annual charge
- Gold International ATM card: 175+GST Annual charge
- SBI Platinum International Debit card: 250+GST Annual charge
- sbiINTOUCH Tap & Go ATM card: 175+GST Annual charge
Agar aapke paas bhi old magnetic Strip ATM card hai to jald apne card ko new EMV Chip ATM card se replace kare.
0 Comments
दोस्तों आप पोस्ट से जुड़ा कमेंट करे गलत कमेंट न करे आप से विनम्र प्रार्थना है